Monday, December 12, 2011

New Years Resolution

Pyar kiya tha kisi ko hum nibha na paye,
Dil diya tha kisi ko jata na paye.

Ankhein band kari toh unko samne paate the ,
Sote jagte unhi ke gun gaate the.

Woh toh humko bhul ke jeewan bita rahi hai,
Kya bhagwan iss dil ka bhi transfer chahte hain.

Ab mai bhi marke jeena nahi chahta hun,
Aage badke khul ke jeena chahta hun.

Kaash iss pyar ne mujhe iss kadar mujhe na sataya hota,
Khul ke jeene se mujhe isne na daraya hota.

Ab iss pyaar se mai nahi darna chahta hun,
Mai bhi khulke aish karna chahta hun

Iss naye saal se meri nay shuruwat hogi,
Sirf unke yaadien ab na mere saath hogi.

Ab firse aish karenge khulke jeeyenge ,
Fir se hum marne se na darenge.

Kyunki dar ke aage hi jeet hai,
Aur duniya mein haar ke jeene waalon ki hi preet hai.

No comments: