Mujhe pata nahi yeh dil kya chahta hai,
Kuch nahi samajhta na samjha pata hai.
Sabse alag kahin lejaana chahta hai,
Jaake bhi kuch bhul na pata hun.
Har samay isko kisi ka intezaar hai,
ABhi bhi kyun itna bekaraar hai.
Raat ki neend din ka chain sab isne cheena hai,
Pata nahi kab tak isne khun peena hai.
Badi mushkil se mein iss kambhakt pe kaabu pata hun,
Par dheere dheere issi ke pas chala jaata hun.
Kash iss dil ko bhagwaan ne na banaya hota,
Toh shayad mujhe usse khone ka kabhi gam na hota.
FIr bhi iss dil ne har samay mera saath nibhaya hai,
Mujhko marke bhi jeena sakhaya hai.
Koi iss dil ko sambhal lo apne aagosh mein
Issi ki chalte maine khud se dhoka khaya hai
No comments:
Post a Comment