Aaj kahin raste mein hi khona chahta tha
Mai Din mein bhi sona chahta tha
Iss mausam mein ghumne ka man karta hai
Sapnon mein jhumne ka man karta hai
Aisa lagta hai jaise mai awaara hun
Par sach mein mai dil ke boj ka maara hun
Yeh din aise kyun aate hain
Dil mein fir woh aag jalate hain
Aankhien khol ke sapne dekhna chahta hun
Mai Din mein bhi sona chahta hun
Aaj mausam bahut suhana hai
Iss dil mein fir kisi ko basana hai
Yeh raatein mein fir neend nahi aati hai
Fir kisi ki mujhe yaad satati hai
Iss pal ko kyun ruka hua paata hun
Mai Din mein bhi sona chahta hun
Jeewan Ki rah ko mai nahi samajh paya hun,
Jaana kahin tha kahin aur hi paya hun.
Har samay ek hi soch satati hai,
Meri zindagi ko adhora batati hai.
Har pal rota hua paya jata hun,
Mai Din mein bhi sona chahta hun.
Lagta hai gam mein jeene ki mujhe aadat hai,
Daaro peene ki hi chahat hai.
Sapno Ka zehar mai peeya jaata hun,
Ghar ki aur hi kheencha chala jaata hun.
Lagta hai mai sirf rona chahta hun,
Mai Din mein bhi sona chahta hun.
Aankhein nam hai parlab par kuch nahi aata hai,
Dil se rota hun par sabko hasta hua chehra nazar aata hai.
In ratoon ke andhere mein khona chahta hun,
Mai Din mein bhi sona chahta hun.
Maine apne jeewan ko adhoora paya hai,
Soote hue shaitan ko kisi ne jagaya hai.
Farak nahi koi jeeta ya marta hai,
Man se kaam nahi karta hai.
Sapnon ki duniya mein khona chahta hun,
Mai Din mein bhi sona chahta hun.
No comments:
Post a Comment